OTP Kya Hai Iske Fayde Or Nuksan Kya Hai ?
Namskar dosto aaj ham aap logo ke liye OTP se related ek Artical laye hai. Aur is artical me ham aapko bataeyege ki OTP kya hai aur iske kya fayde hai aur kya nuksan.OTP ke baare me lagbhag har internet user janta hoga aur kabhi-2 iska prayog bhi karte bhi hoge. Lekin bahut se log Otp ke bare me abhi kuch nahi jante ya phir thoda bahut jante hai. Lekin lagbhag logo ko ye nahi pata hoga ki OTP ke fayde kya hai aur kya nukan hai. To aap hamare sath bane rahiye aur zayda janakari ke liye hamara ye post dhyan se padhe.
OTP kya hota hai aur kaha -2 prayog kiya jata hai
OTP ki full form "One Time Password" hai jaisa ki name se pata lagta hai one time password matlab is password ko sirf ek bar istemal kiya ja sakta hai. Iske bad is password ka koi matlab nahi rah jata hai. Yah Code lagbhag 4-digit, 5-digit ya 6 digit ka hota hai. Jiska kaam ham online transaction karte time karte hai.Otp ka prayog ham onine transsction, Online bank transaction, Login karne me, koi chij buy karne me aur bahut si chijo me iska use hota hai. Jab bhi ham kisi E Commerce website par kuch saman kharidte hai. To hamare ATM card se payment kartne ya hamare net banking se payment karne par hamari puri account detail vanha puchi jati hai. To jab hgam submit karte hai. To hamare mobile par ek code aata hai. Jo ki hamare mobile jo ki hamare bank se etch hota hai. Us code ka matlab hota hai. Ki aap online transaction karne ki permission derahe hai. Agar aap vah code galat bharte hai. To aapka transaction cancel ho jata hai. Aapke paise ya aapki online payment ya Aapka online order complete nahi ho pata hai.
Yah password ek asa password hai. Jo ki aapke account se login or transaction password se bahut jyada alag hota hai. Jo ki bilkul safe hota hai. Jab aap kisi website par account banate hai. To apna user name or password hi set karte hai. Ham j0 bhi password login ke liye set karte hai. Vah bahut hi aasan rakhte hai. Jaise ke or name uske aage digit laga dena ya kuch apni DOB bhar dena To is tarike ke ham password istemal karte hai. Taki ham yaad rakh sake. Lekin is tarah ke password hacker aasani se hack kar lete hai. Or hamare account ki puri puri detail chura sakte hai. Or hamare bank account ko hack kar sakte hai. To is sabhi ko rokne ke liye ek asa special password banaya gaya jo sirf ek hi bar istemal ho sake. Usi ko ham OTP ya one time password kahte hai. Is password ka istemal sirf 3 minutes se lekar 15 minutes tak kiya ja sakta hai. Iske baad iska istemal nahi kiya ja sakta hai. Or agar ek bar aapne is password ko istemal kar liya hai. TO yah dubara istemal nahi ho sakta. Iske liye aapko dusre password ko lena padega agar aap koi online transaction kar rahe hai. To us time OTP password dhyan se likhe.
OTP ka istemal sabse jyada net banking me online transaction karte time kiya jata hai. Iske alawa Jab ham Google par koi account banate hai. hamara Gmail ka account banate hai. To us time bhi hamare account ko verify karne ke liye OTP ka istemal kiya jata hai. Jab ham Facebook par hamare account ko verify karte hai. To us time bhi OTP ka istemal hota hai. Iske Alawa jab ham Facebook par hamare account ko bhul jate hai. Or uske baad usko recover karte hai. To us time bhi OTP password ka istemal kiya jata hai. To is tarah ki jagaho par OTP password ka istemal kiya jata hai.
OTP ke prakar
Dosto OTP ke 3 prakar hai.
Hard Tokens :
- RSA SecuralD
- Printed OTPs
- HMAC-Based OTP Tokens
- YubiKey
Soft Tokens :
- Mobile Authenticator
Tokenless :
- Voice Calling
- Helpdesk generated OTP
- PassiveKey
- SMS Text Messaging
OTP ke fayde (Advantage)
To chaliye friends ham log ab OTP ke fayde yani Advantage ke bare me jante hai hindi me. OTP ke bahut zayada advantages hai. Aagar OTP nahi hota to bahut se bank accounta, Dijital wallet, Cripto currency wallet, ye sab aasani se hack ho jate aur logo ko kaphi nukan ka saamna karna padhta.
OTP yani One Time Password hamare account ko safe and secure rakhne ke liye istemal kiya jata hai. Jaise hamare pass google ka account hai. Hamare bank account ka net banking hai. Ya ATM ka istemal karte hai. To us time jo OTP istemal hota hai. Vah hamare bank ya hamare account ko safe rakhne ke liye kiya jata hai. Jaisa ki hamne aapko bataya ki iska istemal sirf ek hi bar kiya ja sakta hai. Or yah kuch time tak valid rahta hai. Agar us time tak iska istemal na kiya jaye to yah expire ho jata hai. Phir iska koi kaam nahi rahta or jitni bar aap transaction karte hai. Aapko har bar alag password diya jata hai. Jis se ki aapka account or jyada secure ho sake. Agar kisi aadmi ko aapke bank Account ka user id or passwpord pata lag jata hai. To vah uska tab tak istemal nahi kar sakta hai. Jab tak uske password aapke mobile par aaya huaa OTP ya one time password na ho to is tarah se aapka account galat tarike se prayog nahi hoga.OTP ke nuksan (Disadvantage):
Jaise ki is duniya me sabhi chijo ke fayde aur hai usi tarah OTP ke bhi kuch kamiya ya nuksan hai. OTP se hone vale nuksan (Disadvantage) kuch is prakar hai -
- Email OTP verification dusre OTP verification se kam secure hota hai.
- Jo SMS karke OTP bheje jata hai. Vah third party messaging ka use karte hai.
- Ek se jyada bar iska istemal nahi kiya ja sakta. Agar maan lo aapki transaction cancel ho jati hai. To aapko dubara OTP ka istemal karna padega.
- Kai bank ke paise transfer par par sirf OTP ka istemal hota hai. Jo ki jyada secure system nahi hai.
TO aapko pata lag gaya hoga ki OTP kya hota hai. Or iska istemal kis vajah se kiya jata hai or iske kitne parkar hote hai. Iske fayde or nuksan kya hai. To dosto iske bare me aapko kuch or janna hai .to aap niche comment box me likh sakte hai.
Dosto aapko aaj ka hamara ye post aapko kaisa laga aagar acha laga to comment aur share jarur kare.
THANKS,
OTP ke baare mei aapne sachmuch bahut achi jankaari di sukriya
ReplyDelete