Gmail account create(banaye) kaise kare

0
Google par gmail kaise banaye??   Aaj ke post me mai aapko g-mail account banane ke bare me batauga.  Abhi bahut se log aise hai jinko G-mail account banana nahi aata ya phir unka g-mail account nahi bana hai.


Agar Aap 21b sadi ke hai or agar aapki koi Email ID nahi hai, iska matlab aap abhi bhi 19b sadi me gi rahe ho. Aaj ke time me Email Id bhut jaruri hai or iska bhut jagha istmaal bhi hota hai.

Email ID kya Hoti Hai  :      

Email ID apki ek vertual ID hoti hai jiski madad se aap kisi dusre ki Email ID par message send kar sakte ho Internet ke madiyam se. Jo Email ID hoti hai usme hamara username hota hai or akhri me jis site par hamne Email ka account banaya hai uski link hoti hai or dono ke bich me @ (at the rate) ka sign hota hai.
Jese Meri Email ID hai manbhawan571@gmail.com. Isme mera username Manbhawan hai .
Email ID aap kisi bhi site par bana sakte ho Yahoo, Microsoft ya GMail jo ke bilkul free hai. Par me aapko Gmail Par ID banakar dikhaoga Q ki ye Google ki Service hai to iske or bhi faide hai.
Gmail Par Account Kaise Banaye
Gmail Google ki hi service hai isliye Gmail Account ko Google Account bhi khate hai. Gmail Par account banana koi jada muskil nahi hai. Simple aap meri steps ko follow karna or agar kahi par aapko dikkat aati hai to muje comment karke batana me aapki puri trha se help karne ki kosis karuga. To chaliye suru karte hai.
Step 1
Sabse phele www.Gmail.com ki site par jaiye.

Step 2
Create account par click kare new account banane ke liye
Step 3
Ab aapke saamne ek Form khulega, usme aapko apni puri detail bharke submit karni hai

1. Apna Naam or Surname bhare.
2. username bharna hai. username me aap naam or number dono ko mila kar bhi bhar sakte ho. username me aesa naam bharna padega jo phele kisi ka na ho. udharan aapka naam Raju hai to aap raju user name me bharo par error aaye to usme kuch number laga do raju123.
3. Ab aapko apne account ke liye password likhna hai or usko dubara niche bhi bharna hai. password aesahona chaiye jo aapko aasani se yaad rahi or dusra koi pata na kar paye. password me Number (12345) Sabd (ABCabc) or special cerector (@#$%!) ko milakar jo aap chahe bo password rakh sakte ho. aapko password yaad rakhna hai.
4. Aapki jo bhi janm tharik ho usko bharna hai. mahina/tharik/saal is format me bharna hai
5. Ab aapka Gander selectkarna hai. Male ya Female jo aap hai select karle.
6. Apna Mobile Number dale
7. Apka agar koi Purani Email ID hai to usko dalo ya fir khali hi rhane do
8. Ab jo sabd likhkar verify karne ka option aa raha hai aap usko tik karke rhene de ya fir sabdo ko niche daalde.
9. Location me aap kis country se ho select karle. India Select karle
10. Ab Gmail ki term conduction ko maanne ke liye Tik karo
11. Next Step ki Button par click karo

Step 4
Apna Mobile Number verify karna hai. apna number check karke verify ka terika chune. SMS se code aayega ya fir aapko ek call aayega usme code ko batayege. ek option select karne ke baad Continue ki button par click kare.

Step 5
Ab aapke pass chune huee tarike se ek code aayega aapke mobile par, usko yaha daalna hai

1. Apne Mobile par aaya Code dale
2. Continue ki buttonpar click kare

Step 6
Ab aapke saamne Google+ Par Profile banane ke liye option aayega. Aap chahe to bana sakte ho par ham baad me banayege, abhi No Thanks ki button par click kardo

Step 7
Ab aapka account ban gaya hai. or Pheli baar aapka account Open huaa hai isliya aapko welcome kar rahe hai. Get Sterted ki button par click kare.
Step 8
ye lijiye aapka email account teyaar hai. aap isme dekhege Gmail Team se aap ko 3 mail aaye hai.
Ab aapka account ban chuka hai or khul kar aapke saamne hai. Ab account jab bhi aap open karna chahe to Apna Email ID or uska password daalkar Sign-in kar sakte ho.


Gmail me Sign In or Sign Out kaise kare

Sing In karne ke liye www.Gmail.com site par jao or apna email or password daalkar sign in kar sakte ho. fir aapka account khul jayega.

1. Apna Email Id Dale
2. Apna Password dale
3. Sign in ki button kar click kare
ab aapka gamil account open ho jayega.
Jaruri: jab aapka account ka kaam ho jaye to account ke aese hii naa kate, apne account ko sign out kare. taki koi aapkee account ka galat istmaal na kar sake.

Upar corner me arrow par click karke Sign out ki button par click kare.


Google Account Kaha -kaha use hota hai :-

Jo hamari Gmail ki id hai ye Google ki jitni bhi service hai un sab par login karne me use hogi.
Ye khuch Service jin par ham apni email or password se login kar sakte hai.

  • Gmail
  • Youtube
  • Google+
  • Blogger
  • Google Map
  • PlayStore
  • Adsense
  • Drive

or bhi jitni hai jo Google se connected hai.
Aaj ke is post me bas itna hi aage mai aise hi jarur knowledge ki chije lata rahuga. Apko ye post kaise lagi jarur bataye aur hamare blog ko follow aur share jarur kare 

Post a Comment

0Comments

Manbhawan Pandey

Post a Comment (0)