Smartphone Ko Overheating Problem Se kaise bachaye

1

Redmi Note 4, Motorola, Samsung J5 jaise phone me overheating ka problem bahut adhik hai. Jab phone charge karte hai tab mobile heat ho jata hai. Heating problem bahut se android phone me mil raha hai. Mujhse bahut se logo ne pucha hai ki mobile me overheating problem ka solution kya hai.

Android phone ke garam hone ki wajah, aur iska solution dono yaha share kar raha hun. Android users ke battery heating ke problem ko sirf 5 Tips se solve kiya ja sakta hai. Battery Overheating ke bahut se wajah hai, jaise galat charger se charge karna etc. Sabhi baato ka details yaha batunga.

5 Tips Android Phone Ko Overheating Problem Se Bachane Ke Liye

Koi bhi mobile heat kyun karta hai iski wajah pahle jane.
Charging karte time mobile use karne se.
Mobile ko SWITCH On karke charge karne ki wajah se.
Adhik RAM wale Game ko khelne se
Phone ke CPU and GPU par adhik load parne se.

Overheating Se Phone Ko Bachane Ke Liye Tips Jane.

Mobile ko Switch Off Karke Charge Kare

Dosto ye mera khud ka experience hai. Mere paas abhi Xiaomi Redmi Note 4 hai. Switch On karke jab mai phone ko charge karta hun to ye jaldi heat kar jata hai. Ek din mera mobile puri tarah se shut down ho gaya. Jis wajah se mobile ko switch OFF karke charge karna para. Us din mera android phone bilkul bhi heat nahi hua.
Isliye meri baat mane to phone ko humesa switch Off karke charge kare. Mia janta hun switch karne se aap kuch important calls, message miss kar sakte hai. Isliye raat me jis waqt calls, message nahi ayega us time phone charge kare.

Phone Ko Sunlight aur Hot place se dur rakhe

Mobile ko humesa direct sunlight se dur rakhe. Jitna ho sake cool temprature me rakhne ki kosi kare. Lekin iska matlab ye bhi nahi ki mobile ko fridge me rakhne ki kosis nahi kare. Direct sunlight me rakhne se phone jaldi garam ho jata hai.

Apps Uninstall Kare

Jis app ki koi jarurat nahi hai usko uninstall karke rakhe.
Setting> Battery > Battery Use me jaye. Yaha se apko pata chal jayega kon sa application androi mobile ka sabse adhik battery use kar raha hai. Jab maine apne mobile ke battery use ko open kiya to maine dekha ki Gangster 4, Asphalt 8 jaise games sabse adhik battery use kar rahe hai. Ye games 1.5 GB se bhi adhik size ka hai, jis wajah se ye mobile ke RAM ko bahut adhik use karta hai aur battery bhi adhik consume and heat kar deta hai. Isliye phone ko overheating se bachane ke liye adhik consume karne wale apps ko uninstall kare.

Brightness Ko Full Nahi Kare

Kabhi bhi phone ke brightness ko full karke nahi rakhna chahye. Isse mobile ka heat hona ka chance adhik rahta hai. Adhik brightness se battery adhik use hota hai jis wajah se phone garam ho jata hai. Phone garam hone se bachane ke liye humesa brightness ko Auto mode me rakhe.
Notification tray me brightness ko auto mode me rakhne ka option diya rahta hai.

Phone Overheat Ho Gaya hai, To Back Cover Hataye

Mobile heat kar gaya hai to back cover garami ko absorb karta hai. Jis wajah se phone ka heat bahar nahi nikal pata. Isliye jab bhi phone garam ho jaye to Case cover ko remove karde. Isse phone jaldi cool hone lagega

Other Simple Tips Jise Phone Ko Garam Hone Se Bachaya Sakte Hai


  • Sabhi application ko update karke rakhe.
  • Kisi aur device jaise fridge, TV, tablet, laptop se dur mobile rakhe.
  • Jis apps ki jarurat nahi hai usko uninstall kare.
  • Mobile heat ho gaya hai toh turant switch Off kare.
  • Jab jarurat nahi hai to mobile ko Aeroplane Mode me rakhe.

Android Mobile Ko Cooling Master-Phone Cooler Se Cool Kaise Rakhe

Cooling Master-Phone Cooler ek android app hai, jise phone me install karne se mobile ko coool rakha ja sakta hai. Step by step jane kaise mobile ko Cooling Master-Phone Cooler se heat hone se bacha sakte hai.
1. Sabse pahle android phone me Cooling Master Phone Cooler app install and download kare.
2. Install karne ke baad app ko open kare.
3. App ke homepage par phone ka current temprature dikhaye dega.
4. Detect Overheating Apps par tap kare.
5. Next page par apps ki list ayega jis wajah se phone garam ho raha hai.
6. Ab Cool Down par touch karne se sabhi apps ko close kar diya jayega.
7. Apps close hone ki wajah se mobile cool rakhne me help milta hai.
Friends abbi apne jana Mobile overheat kyun hota hai, 5 tips jise phone ko garam hone se bacha sakte hai, aur Cooling Master Phone Cooler se mobile ko cool kaise rakhte hai.
Tags

Post a Comment

1Comments

Manbhawan Pandey

Post a Comment