PAN Card Ke Liye Online Apply Kaise kare

0


Pan card bahut jaruri hai india hai me. Isi se logo ki salari ka pata chalta hai jisse logo ko aapni income se kuch tax dena hota hai jisse country growth karti hai. Bahut se log tax nahi dena chahte hai isiliye PAN card chalaya gaya. Ab PAN card sabhi bank account me lagte hai aur logo ki isse pehchan hoti hai. Bahut se logo ke pass abhi bhi pan card nahi hai. Jo banvana to chahte hai magar kinki kardo se banva nahi pate hai. Aaj ka ye post isi chij ko dhyan me rakhkar banaya gaya hai.
Aage post padhne se pehle meri choti si request hai ki last me ye jarur bataye ki ye post kaisa laga. Aur aagar aapko PAN  card online apply karne me koi problem aati hai to comment jarur kare. chaliye aate hai post par..

How to apply online for PAN card? 

PAN Card Kya hai? -

PAN ka full form Permanent Account Number hain. Ye India ke income tax department ki taraf se banaya jata hain. PAn card par name, date of birth aur PAN number printed rahta hain. PAN card kaise apply karte hai jane.

PAN Card kyun jaruri hain? Why it is Necessary?

PAN card, income tax department issue karta hain. Isliye iska related TAX se hain. Jab aap Rs 50,000 se upar ka transaction karte hain toh PAN number dena jaruri hota hain. Jisse government ko apke bank balance ke bare me pata rahe.
Agar aap Rs 50,000 se upar ka deposit ya withdrawal karte hai to bina PAN number ke nahi kar sakte hain. Islye sabse PAN card hona jaruri hain.
Aaj PAN Card hona bahut jaruri hain. Lekin bahut kam logo isse issue karne ka tarika pata hain. Bahut se log abhi bhi isse issue karne me problem hoti hain. Lekin kya apko pata hain, aap ghar baithe bhi PAN card banwa sakte hain.
PAN card ab online bhi banaya jata hain. Aapko sirf ghar baithe online application form fillup karna hain. Phir documents verification ke baad apke ghar par card, post se send kar diya jayega. total process me approx 30 days ka time lagta hain.

How To Apply For Pan Card Online? Online PAN Card ke liye kaise apply karte hain?

Online apply karne ke liye apko 49A Online form fillup karna hoga. Online application form income tax department ke official websites par mil jayega.
Tips : Online apply karne ke liye Computer me chrome browser use kare.

Online PAN Card Banane Ke Liye Steps By Steps Process| Step by Step Process For Apply PAN Card Online.

1) NSDL websites par jaye. Ek online application form open hoga. Jisme apna sabhi details fillup kare.
2) Application type me New PAN – Indian Citizen (49A) select kare.
3) Category me jis type ka card issue karwana hai wo select kare.
4) Application Information tab me khud se related sabhi jankari fillup kare. Jaise name, address, Gender, Date of Birth, Office Address, Mobile Number, Email-id, source of income, Rmail and mobile number etc.
Aap yaha jo bhi name fillup karenge, wahi name CARD par bhi print hoga. Isliye name sahi se type kare.
5) Captcha Code type kare. Ye ek security code hain jisse fill karna jaruri hain.
6) Form fillup karne ke baad jaruri documents post office se send karna hoga.

PAN Card Ke Liye Kaun Se Documents jaruri hain | Which Documents is Necessary For Apply Online PAN Card

Sabhi documents ka photo copy send karna hain.

Identity Proof

Passport
Aadhar Card issued by UIDAI
Driving Licence
Ration Card having your photograph
Arms License
Photo Identity Card issued by Central or State Government
Voter id card

Address Proof

Aadhaar Card
Elector’s Photo Identity card
Driving License
Passport
Post Office Passbook having address of the applicant
Latest property tax assessment order
Property Registration certificate

Date of Birth Proof

Aadhar Card
Elector’s Photo Identity Card
Driving license
Pension payment order
Affidavit Sworn before a Magistrate stating the date of birth
Passport
Matriculation Certificate or Mark sheet of recognized board (10th Standard in most cases)
Birth certificate issued by the municipal authority or any authorized office
Apne documents ko bataye gaye address par post kare.
NSDL e-Governance Infrastructure Limited, 5th floor, Mantri Sterling, Plot No. 341, Survey No. 997/8, Model Colony, Near Deep Bungalow Chowk, Pune – 411016
Application form me waise documents ko select kare jo aap speed post se send karne wale hain.
Ab apko ₹107.00 ka bank charges bhi dena hoga.
Apko 15-Digit acknowledgment number diya jayega. Jisse aap PAN Card ka status check kar sakte hain.

Post a Comment

0Comments

Manbhawan Pandey

Post a Comment (0)